wo to mil kar bhi nahin milti hai
vo to mil kar bhī nahīñ miltī hai
jaane kis dhun meñ rahā kartī hai
chuum letī hai mirā māthā jab
ek ḳhushbū sī baras paḌtī hai
soch letā huuñ use dam bhar ko
aur ye ruuh mahak uThtī hai
maiñ jise kah na sakūñgā hargiz
aaj vo baat mujhe kahnī hai
log kahte haiñ mohabbat jis ko
sar-phirī bigḌī huī laḌkī hai
apnī duniyā ke masā.il meñ vo
apnī zulfoñ kī tarah uljhī hai
maiñ nadī niiñd kī aur vo mujh meñ
ḳhvāb machhlī kī tarah rahtī hai
wo to mil kar bhi nahin milti hai
jaane kis dhun mein raha karti hai
chum leti hai mera matha jab
ek KHushbu si baras paDti hai
soch leta hun use dam bhar ko
aur ye ruh mahak uThti hai
main jise kah na sakunga hargiz
aaj wo baat mujhe kahni hai
log kahte hain mohabbat jis ko
sar-phiri bigDi hui laDki hai
apni duniya ke masail mein wo
apni zulfon ki tarah uljhi hai
main nadi nind ki aur wo mujh mein
KHwab machhli ki tarah rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.