wo udhar sogwar baiThe hain
vo udhar sogvār baiThe haiñ
ham idhar sharmsār baiThe haiñ
ham-navā ho ga.e vo ġhairoñ ke
karke ham iḳhtiyār baiThe haiñ
daur-e-hāzir meñ naujavāñ lākhoñ
tālib-e-rozgār baiThe haiñ
bevafā aaj tere va.ade par
karke ham e.atibār baiThe haiñ
luT ga.e be-ḳhudī meñ ham aise
ban ke duniyā pe baar baiThe haiñ
aaj ho izn-e-ām ai saaqī
muntazir bāda-ḳhvār baiThe haiñ
koī pūchhe 'sharār' ye un se
aaj kyoñ ashk-bār baiThe haiñ
wo udhar sogwar baiThe hain
hum idhar sharmsar baiThe hain
ham-nawa ho gae wo ghairon ke
karke hum iKHtiyar baiThe hain
daur-e-hazir mein naujawan lakhon
talib-e-rozgar baiThe hain
bewafa aaj tere wade par
karke hum eatibar baiThe hain
luT gae be-KHudi mein hum aise
ban ke duniya pe bar baiThe hain
aaj ho izn-e-am ai saqi
muntazir baada-KHwar baiThe hain
koi puchhe 'sharar' ye un se
aaj kyon ashk-bar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.