wo uThe to bahut ghar se apne mere ghar mein magar kabhi aa na sake
wo uThe to bahut ghar se apne mere ghar mein magar kabhi aa na sake
Akbar Allahabadi
MORE BYAkbar Allahabadi
vo uThe to bahut ghar se apne mire ghar meñ magar kabhī aa na sake
vo nasīm-e-murād chale bhī to kyā ki jo ġhuncha-e-dil ko khilā na sake
shab-o-roz jo rahte the pesh-e-nazar baḌe lutf se hotī thī jin meñ basar
ye ḳhabar nahīñ jā ke rahe vo kidhar ki ham un kā nishān bhī pā na sake
ye mire hī na aane kā sab hai asar ki raqīboñ se dabte ho aaTh pahar
mire haal pe chashm-e-karam jo rahe koī aap se aañkh milā na sake
kiyā jazba-e-ishq ne mere asar rahī ġhairat-e-husn pe un kī nazar
pas-e-parda sadā to sunā.ī mujhe magar apnā jamāl dikhā na sake
rahā shohra-e-'ishq kā yaañ mujhe Dar unheñ apne parā.e kā ḳhauf-o-ḳhatar
rahīñ dil hī meñ hasrateñ donoñ taraf jo maiñ jā na sakā to vo aa na sake
vahī dil kī taḌap vahī dard-e-jigar huā tauba-e-'ishq kā kuchh na asar
tirī shakl jo āñkhoñ meñ phirtī rahī tirī yaad bhī dil se bhulā na sake
hai ḳhudā kī janāb meñ sub.h-o-masā yahī 'akbar'-e-ḳhasta-jigar kī du'ā
ki hamāre sivā but-e-hosh-rubā koī siine se tujh ko lagā na sake
wo uThe to bahut ghar se apne mere ghar mein magar kabhi aa na sake
wo nasim-e-murad chale bhi to kya ki jo ghuncha-e-dil ko khila na sake
shab-o-roz jo rahte the pesh-e-nazar baDe lutf se hoti thi jin mein basar
ye KHabar nahin ja ke rahe wo kidhar ki hum un ka nishan bhi pa na sake
ye mere hi na aane ka sab hai asar ki raqibon se dabte ho aaTh pahar
mere haal pe chashm-e-karam jo rahe koi aap se aankh mila na sake
kiya jazba-e-ishq ne mere asar rahi ghairat-e-husn pe un ki nazar
pas-e-parda sada to sunai mujhe magar apna jamal dikha na sake
raha shohra-e-'ishq ka yan mujhe Dar unhen apne parae ka KHauf-o-KHatar
rahin dil hi mein hasraten donon taraf jo main ja na saka to wo aa na sake
wahi dil ki taDap wahi dard-e-jigar hua tauba-e-'ishq ka kuchh na asar
teri shakl jo aankhon mein phirti rahi teri yaad bhi dil se bhula na sake
hai KHuda ki janab mein subh-o-masa yahi 'akbar'-e-KHasta-jigar ki du'a
ki hamare siwa but-e-hosh-ruba koi sine se tujh ko laga na sake
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 68)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.