wo wafur-e-lala-o-gul nahin wo nashat-e-qalb-o-nazar nahin
wo wafur-e-lala-o-gul nahin wo nashat-e-qalb-o-nazar nahin
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
vo vafūr-e-lāla-o-gul nahīñ vo nashāt-e-qalb-o-nazar nahīñ
jo iram-ba-kaf thī dam-e-sahar vo bahār-e-shāḳh-o-shajar nahīñ
ye zamāna fursat-e-ġham agar mujhe de to maiñ bhī dikhā sakūñ
ki tajalliyāñ mire shauq kī faqat ek raqs-e-sharar nahīñ
tirī yaad bā.is-e-rāhat-e-tapish-e-ḳhayāl to hai magar
maiñ hujūm-e-shauq ko kyā karūñ mire bas meñ dīda-e-tar nahīñ
ye razā-e-yār kā paas hai ki ye sāzisheñ haiñ havās kī
mire dil meñ soz-e-fuġhāñ to hai mire lab pe āh-e-sahar nahīñ
mirā shauq ābla-pā sahī mirī raah rāh-e-fanā sahī
jo tirā ḳhayāl ho rāhbar to añdherī raat kā Dar nahīñ
tū kamāl-e-shauq se saaz uThā mirī jaan tāroñ ke giit gā
tirī bazm-gāh-e-tarab meñ ab kisī dil-jale kā guzar nahīñ
wo wafur-e-lala-o-gul nahin wo nashat-e-qalb-o-nazar nahin
jo iram-ba-kaf thi dam-e-sahar wo bahaar-e-shaKH-o-shajar nahin
ye zamana fursat-e-gham agar mujhe de to main bhi dikha sakun
ki tajalliyan mere shauq ki faqat ek raqs-e-sharar nahin
teri yaad bais-e-rahat-e-tapish-e-KHayal to hai magar
main hujum-e-shauq ko kya karun mere bas mein dida-e-tar nahin
ye raza-e-yar ka pas hai ki ye sazishen hain hawas ki
mere dil mein soz-e-fughan to hai mere lab pe aah-e-sahar nahin
mera shauq aabla-pa sahi meri rah rah-e-fana sahi
jo tera KHayal ho rahbar to andheri raat ka Dar nahin
tu kamal-e-shauq se saz uTha meri jaan taron ke git ga
teri bazm-gah-e-tarab mein ab kisi dil-jale ka guzar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.