wo yak-ba-yak use dil mein utarne ka amal
vo yak-ba-yak use dil meñ utārne kā 'amal
vo apnī zaat pe shab-ḳhūn mārne kā 'amal
hazār vasvase dil meñ aur ik dahaktā alaav
hayāt-e-dasht meñ rāteñ guzārne kā 'amal
bas ek ḳhosha-e-gandum aur aisī dar-ba-darī
vo āsmāñ ko zamīñ par utārne kā 'amal
ye 'umr mez hai gavayyā qimār-ḳhāne kī
bas ek jiit kī ḳhvāhish meñ hārne kā 'amal
vo band ḳhushbū kā bād-e-sabā ke vo nāḳhun
kalī ke jism se kapḌe utārne kā 'amal
ġhazab kā shor machāte ho.e ye sannāTe
vo be-sadā bhī kisī ko pukārne kā 'amal
hui hai shaam phir ashkoñ se ik vuzū ho 'nadīm'
phir ek raat sitāre shumārne kā 'amal
wo yak-ba-yak use dil mein utarne ka 'amal
wo apni zat pe shab-KHun marne ka 'amal
hazar waswase dil mein aur ek dahakta alaw
hayat-e-dasht mein raaten guzarne ka 'amal
bas ek KHosha-e-gandum aur aisi dar-ba-dari
wo aasman ko zamin par utarne ka 'amal
ye 'umr mez hai gawayya qimar-KHane ki
bas ek jit ki KHwahish mein haarne ka 'amal
wo band KHushbu ka baad-e-saba ke wo naKHun
kali ke jism se kapDe utarne ka 'amal
ghazab ka shor machate hoe ye sannaTe
wo be-sada bhi kisi ko pukarne ka 'amal
hui hai sham phir ashkon se ek wuzu ho 'nadim'
phir ek raat sitare shumarne ka 'amal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.