wo zaiqa bhi ajab sidq-e-nagawar mein tha
vo zā.iqa bhī 'ajab sidq-e-nāgavār meñ thā
ġhubār sā koī mafhūm harf-e-zār meñ thā
na tū sharīk-e-‘adāvat thā aur na pyaar meñ thā
tirā yaqīn tijārat meñ kārobār meñ thā
bulandiyoñ se girā bhī to ḳhush-gavār lagā
mire zavāl kā uslūb ābshār meñ thā
kise dimāġh ki tohmat junūñ kī sar letā
ki jab ḳhumār-e-anā zauq-e-ishtihār meñ thā
kise sunā.eñ karāheñ sisakte sāyoñ kī
samā'atoñ kā ḳhudā shor ke hisār meñ thā
'ajīb dhund hai phailī huī jidhar dekho
ThiThak ke apnī jagah har koī dayār meñ thā
ġhazal ke she'r kī mānind thā suḳhan us kā
kamāl-e-ramz-e-suḳhan tarz-e-iḳhtisār meñ thā
hai zaḳhm zaḳhm lahū-āshnā badan saarā
ye chakrvyūh to yāroñ ke e'tibār meñ thā
maiñ us ke saath hī ho jaatā kaise mumkin thā
vo lauT aatā kahāñ us ke iḳhtiyār meñ thā
sharīk-e-vāqi'a kartā hai apne qaarī ko
'ajab kamāl-e-hunar vāqi'a-nigār meñ thā
qayāmateñ ka.ī mujh par guzar ga.iiñ 'sarshār'
maiñ ḳhush-gumān karam hī ke intizār meñ thā
wo zaiqa bhi 'ajab sidq-e-nagawar mein tha
ghubar sa koi mafhum harf-e-zar mein tha
na tu sharik-e-‘adawat tha aur na pyar mein tha
tera yaqin tijarat mein karobar mein tha
bulandiyon se gira bhi to KHush-gawar laga
mere zawal ka uslub aabshaar mein tha
kise dimagh ki tohmat junun ki sar leta
ki jab KHumar-e-ana zauq-e-ishtihaar mein tha
kise sunaen karahen sisakte sayon ki
sama'aton ka KHuda shor ke hisar mein tha
'ajib dhund hai phaili hui jidhar dekho
ThiThak ke apni jagah har koi dayar mein tha
ghazal ke she'r ki manind tha suKHan us ka
kamal-e-ramz-e-suKHan tarz-e-iKHtisar mein tha
hai zaKHm zaKHm lahu-ashna badan sara
ye chakrwyuh to yaron ke e'tibar mein tha
main us ke sath hi ho jata kaise mumkin tha
wo lauT aata kahan us ke iKHtiyar mein tha
sharik-e-waqi'a karta hai apne qari ko
'ajab kamal-e-hunar waqi'a-nigar mein tha
qayamaten kai mujh par guzar gain 'sarshaar'
main KHush-guman karam hi ke intizar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.