wo zaKHm mile ruh ko patthar ke sanam se
vo zaḳhm mile ruuh ko patthar ke sanam se
karte haiñ shab-o-roz vuzū dīda-e-nam se
afsos javānī meñ kamar jhuk ga.ī us kī
hairat hai ki vo haar gayā ranj-o-alam se
raas aa ga.ī sahrā ko mirī ashk-fishānī
ashjār sukūñ paate haiñ aksar mire ġham se
ye soch ke tasvīr jalā.ī nahīñ us kī
mahrūm na ho jā.ūñ kahīñ nazr-e-karam se
vo vasl kī shab ek qadam pīchhe haTā thā
phir fāsle baḌhte ga.e us ek qadam se
yādoñ kā mahal aaj bhī ta.amīr hai dil par
yā yuuñ kahūñ raushan hai ye ghar aap ke dam se
vo but jo ibādat meñ ḳhalal bantā hai merī
us but ko nikālūñgā kisī roz haram se
sadqa haiñ tire husn kā ye chāñd-sitāre
sūraj ko milā nuur tire naqsh-e-qadam se
ham ahl-e-azā ahl-e-bukā ahl-e-fuġhāñ haiñ
kyā ḳhaak taqābul ho zamāne tirā ham se
do sher kahe ḳhud ko samajhne lage 'ġhālib'
qirtās se vāqif haiñ na vāqif haiñ qalam se
yuuñ kūcha-e-jānāñ se nikālā gayā 'mehvar'
aadam ko nikālā gayā jis taur iram se
wo zaKHm mile ruh ko patthar ke sanam se
karte hain shab-o-roz wuzu dida-e-nam se
afsos jawani mein kamar jhuk gai us ki
hairat hai ki wo haar gaya ranj-o-alam se
ras aa gai sahra ko meri ashk-fishani
ashjar sukun pate hain aksar mere gham se
ye soch ke taswir jalai nahin us ki
mahrum na ho jaun kahin nazr-e-karam se
wo wasl ki shab ek qadam pichhe haTa tha
phir fasle baDhte gae us ek qadam se
yaadon ka mahal aaj bhi tamir hai dil par
ya yun kahun raushan hai ye ghar aap ke dam se
wo but jo ibaadat mein KHalal banta hai meri
us but ko nikalunga kisi roz haram se
sadqa hain tere husn ka ye chand-sitare
suraj ko mila nur tere naqsh-e-qadam se
hum ahl-e-aza ahl-e-buka ahl-e-fughan hain
kya KHak taqabul ho zamane tera hum se
do sher kahe KHud ko samajhne lage 'ghaalib'
qirtas se waqif hain na waqif hain qalam se
yun kucha-e-jaanan se nikala gaya 'mehwar'
aadam ko nikala gaya jis taur iram se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.