wo zaKHm par zaKHm de rahe hain main zaKHm par zaKHm kha raha hun
wo zaKHm par zaKHm de rahe hain main zaKHm par zaKHm kha raha hun
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
vo zaḳhm par zaḳhm de rahe haiñ maiñ zaḳhm par zaḳhm khā rahā huuñ
koī mujhe aazmā rahā hai kisī ko maiñ aazmā rahā huuñ
ḳhayāl kā mai-kada khulā hai subū umīdoñ kā pā rahā huuñ
tire tasavvur kā hai karishma ki be-piye laḌ-khḌā rahā huuñ
huā muḳhālif zamāna dushman jo rāhbar the vahī haiñ rahzan
magar azā.em kī raushnī meñ qadam baḌhātā hī jā rahā huuñ
na jaane is dil ke but-kade meñ sanam haiñ kitne tarah tarah ke
magar ye hairat hai ki har ik se vafā kī maiñ daad pā rahā huuñ
mire hī dam se hai kaj-kulāhī ye ḳhud-numā.ī ye ḳhud-satā.ī
mazāq uḌā.eñ na aap merā ġhurūr maiñ aap kā rahā huuñ
thakī huī hai umiid merī thakā huā hausla hai merā
karo na manzil kā zikr mujh se maiñ ḳhud ko nākām pā rahā huuñ
girāñ thā jin kā ḳhayāl bhī kal mirī tabī.at kī sādgī par
maiñ aaj 'nāshād' un kī chaukhaT pe apne sar ko jhukā rahā huuñ
wo zaKHm par zaKHm de rahe hain main zaKHm par zaKHm kha raha hun
koi mujhe aazma raha hai kisi ko main aazma raha hun
KHayal ka mai-kada khula hai subu umidon ka pa raha hun
tere tasawwur ka hai karishma ki be-piye laD-khDa raha hun
hua muKHalif zamana dushman jo rahbar the wahi hain rahzan
magar azaem ki raushni mein qadam baDhata hi ja raha hun
na jaane is dil ke but-kade mein sanam hain kitne tarah tarah ke
magar ye hairat hai ki har ek se wafa ki main dad pa raha hun
mere hi dam se hai kaj-kulahi ye KHud-numai ye KHud-satai
mazaq uDaen na aap mera ghurur main aap ka raha hun
thaki hui hai umid meri thaka hua hausla hai mera
karo na manzil ka zikr mujh se main KHud ko nakaam pa raha hun
giran tha jin ka KHayal bhi kal meri tabiat ki sadgi par
main aaj 'nashad' un ki chaukhaT pe apne sar ko jhuka raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.