wo zaKHm phir se hara hai nishan na tha jis ka
vo zaḳhm phir se harā hai nishāñ na thā jis kā
huī hai raat vo bārish gumāñ na thā jis kā
havā.eñ ḳhud use sāhil pe lā ke chhoḌ ga.iiñ
vo ek naav koī bādbāñ na thā jis kā
kashīd kartā rahā hijratoñ se dard kī mai
koī to thā ki kahīñ ham-zabāñ na thā jis kā
isī ke dam se thī raunaq tamām bastī meñ
ki ḳhanda-lab thā magar ġham ayaañ na thā jis kā
jalī to yuuñ ki huā raakh añg añg mirā
ajiib aag thī koī dhuāñ na thā jis kā
wo zaKHm phir se hara hai nishan na tha jis ka
hui hai raat wo barish guman na tha jis ka
hawaen KHud use sahil pe la ke chhoD gain
wo ek naw koi baadban na tha jis ka
kashid karta raha hijraton se dard ki mai
koi to tha ki kahin ham-zaban na tha jis ka
isi ke dam se thi raunaq tamam basti mein
ki KHanda-lab tha magar gham ayan na tha jis ka
jali to yun ki hua rakh ang ang mera
ajib aag thi koi dhuan na tha jis ka
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 485)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.