wo zamane guzar chuke kab ke
vo zamāne guzar chuke kab ke
the jo dariyā utar chuke kab ke
ab to bas meñ nahīñ rahā kuchh bhī
ḳhvāb āñkhoñ meñ bhar chuke kab ke
nuur andar se hī nikaltā hai
ham to ye kaam kar chuke kab ke
ab hameñ aur kyā bigaḌnā hai
jo na karnā thā kar chuke kab ke
saath jiinā thā saath marnā thā
kyā kareñ ham ki mar ga.e kab kai
wo zamane guzar chuke kab ke
the jo dariya utar chuke kab ke
ab to bas mein nahin raha kuchh bhi
KHwab aankhon mein bhar chuke kab ke
nur andar se hi nikalta hai
hum to ye kaam kar chuke kab ke
ab hamein aur kya bigaDna hai
jo na karna tha kar chuke kab ke
sath jina tha sath marna tha
kya karen hum ki mar gae kab kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.