wo zindagi ki jis mein aziyyat nahin koi
vo zindagī ki jis meñ aziyyat nahīñ koī
ik ḳhvāb hai ki jis kī haqīqat nahīñ koī
merī vafā ko zulf-o-lab-o-chashm se na dekh
kār-e-ḳhulūs-e-zāt kī ujrat nahīñ koī
taslīm tere rabt-o-ḳhulūs-o-vafā ke naam
ḳhush huuñ ki in meñ lafz-e-mohabbat nahīñ koī
ḳhalvat meñ gar vujūd pe isrār ho to ho
bāzār meñ to zaat kī qīmat nahīñ koī
ham barzaḳh-e-vafā ke jazā-yāftoñ ke paas
ik jism hai so jism kī jannat nahīñ koī
har faisle ko roz-e-qayāmat pe chhoḌ deñ
is jabr se to baḌh ke qayāmat nahīñ koī
ye shahr qatl-gāh nahīñ phir bhī ai 'sahar'
kyā qahr hai ki jism salāmat nahīñ koī
wo zindagi ki jis mein aziyyat nahin koi
ek KHwab hai ki jis ki haqiqat nahin koi
meri wafa ko zulf-o-lab-o-chashm se na dekh
kar-e-KHulus-e-zat ki ujrat nahin koi
taslim tere rabt-o-KHulus-o-wafa ke nam
KHush hun ki in mein lafz-e-mohabbat nahin koi
KHalwat mein gar wujud pe israr ho to ho
bazar mein to zat ki qimat nahin koi
hum barzaKH-e-wafa ke jaza-yafton ke pas
ek jism hai so jism ki jannat nahin koi
har faisle ko roz-e-qayamat pe chhoD den
is jabr se to baDh ke qayamat nahin koi
ye shahr qatl-gah nahin phir bhi ai 'sahar'
kya qahr hai ki jism salamat nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.