wo zulfen jis ghaDi lahra ke chhat par samne aae
wo zulfen jis ghaDi lahra ke chhat par samne aae
Shahrukh Sahil Tulsipuri
MORE BYShahrukh Sahil Tulsipuri
vo zulfeñ jis ghaḌī lahrā ke chhat par sāmne aa.e
tavāf-e-husn karne phir kabūtar sāmne aa.e
kiyā kartā thā maiñ jin kī vafādārī pe naaz aksar
sar-e-maidāñ vahī ahbāb khul kar sāmne aa.e
kuchal Daalā thā duniyā ne jinheñ maġhrūr qadmoñ se
vahī zarre misāl-e-māh-o-aḳhtar sāmne aa.e
hameñ to bas tumhāre naqsh-e-pā par chalte rahnā hai
hameñ kyā manzil aa.e kitne patthar sāmne aa.e
mirī ḳhvāhish ye rahtī hai kī har pal fikr meñ mere
mire mahbūb kā rū-e-munavvar sāmne aa.e
sar-e-mahfil kiyā e'lān us ne pārsā.ī kā
dil-e-muztar kī bātoñ meñ dilāvar sāmne aa.e
wo zulfen jis ghaDi lahra ke chhat par samne aae
tawaf-e-husn karne phir kabutar samne aae
kiya karta tha main jin ki wafadari pe naz aksar
sar-e-maidan wahi ahbab khul kar samne aae
kuchal Dala tha duniya ne jinhen maghrur qadmon se
wahi zarre misal-e-mah-o-aKHtar samne aae
hamein to bas tumhaare naqsh-e-pa par chalte rahna hai
hamein kya manzil aae kitne patthar samne aae
meri KHwahish ye rahti hai ki har pal fikr mein mere
mere mahbub ka ru-e-munawwar samne aae
sar-e-mahfil kiya e'lan us ne parsai ka
dil-e-muztar ki baaton mein dilawar samne aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.