wo zulm usne Dhaya hai dil jaanta hai
vo zulm us ne Dhāyā hai dil jāntā hai
kahāñ tak miTāyā hai dil jāntā hai
tirī bevafā.ī ne ahl-e-talab par
vo sikka jamāyā hai dil jāntā hai
tumhī kyā kisī ko bhī apnā banā kar
jo sadma uThāyā hai dil jāntā hai
tirī bazm meñ ham ne har ek ġham ko
ba-mushkil dabāyā hai dil jāntā hai
sar-e-rāh-e-ulfat tirī be-ruḳhī meñ
mazā jaisā paayā hai dil jāntā hai
mohabbat ke sāz-e-nigārīñ pe 'jauhar'
jo kuchh ham ne gaayā hai dil jāntā hai
wo zulm us ne Dhaya hai dil jaanta hai
kahan tak miTaya hai dil jaanta hai
teri bewafai ne ahl-e-talab par
wo sikka jamaya hai dil jaanta hai
tumhi kya kisi ko bhi apna bana kar
jo sadma uThaya hai dil jaanta hai
teri bazm mein hum ne har ek gham ko
ba-mushkil dabaya hai dil jaanta hai
sar-e-rah-e-ulfat teri be-ruKHi mein
maza jaisa paya hai dil jaanta hai
mohabbat ke saz-e-nigarin pe 'jauhar'
jo kuchh hum ne gaya hai dil jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.