wusat-e-aghosh-e-alam be-karan hote hue
vus'at-e-āġhosh-e-ālam be-karāñ hote hue
dar-ba-dar phirte haiñ ham saarā jahāñ hote hue
koī māñge ke ujāle kā bharosa kyā kare
ham ne dekhā hai charāġhoñ ko dhuāñ hote hue
de diyā hai ḳhūn-e-dil se jāñ-nisārī kā subūt
jab kabhī dekhā hai un ko bad-gumāñ hote hue
faḳhr mat karnā zar-o-māl-e-jahāñ par dosto
achchhe-achchhoñ ko hai dekhā be-nishāñ hote hue
jang-āmāda huī jab sehn-e-gulshan kī havā
TukḌe TukḌe sab ne dekhā āshiyāñ hote hue
kyoñ zalīl-o-ḳhvār hote jā rahe haiñ ahl-e-haq
daar tak jaane kī lambī dāstāñ hote hue
ham ne rakkhī hai 'zakī' mahfūz ġham kī aabrū
muskurāte haiñ sadā dard-e-nihāñ hote hue
wus'at-e-aghosh-e-alam be-karan hote hue
dar-ba-dar phirte hain hum sara jahan hote hue
koi mange ke ujale ka bharosa kya kare
hum ne dekha hai charaghon ko dhuan hote hue
de diya hai KHun-e-dil se jaan-nisari ka subut
jab kabhi dekha hai un ko bad-guman hote hue
faKHr mat karna zar-o-mal-e-jahan par dosto
achchhe-achchhon ko hai dekha be-nishan hote hue
jang-amada hui jab sehn-e-gulshan ki hawa
TukDe TukDe sab ne dekha aashiyan hote hue
kyon zalil-o-KHwar hote ja rahe hain ahl-e-haq
dar tak jaane ki lambi dastan hote hue
hum ne rakkhi hai 'zaki' mahfuz gham ki aabru
muskuraate hain sada dard-e-nihan hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.