wusat-e-sahra ke aage aasman chhoTa laga
vus'at-e-sahrā ke aage āsmāñ chhoTā lagā
dhuup aisī thī ki sar ko sā.ebāñ chhoTā lagā
log ḳhush-fahmī ke panjoñ par khaḌe the fitratan
aur yuuñ qad merā un ke darmiyāñ chhoTā lagā
yaas mahrūmī tazabzub karb ḳhush-fahmī anā
itne sāmāñ the mirā tanhā makāñ chhoTā lagā
jī rahā hai vā'da-e-fardā pe tere ai ḳhudā
varna is bande ko terā ye jahāñ chhoTā lagā
ek ik lamhe kā jab māñgā gayā mujh se hisāb
jaane kyoñ zehn-e-shahanshāh-e-zamāñ chhoTā lagā
duur se qatra bhī ik dariyā nazar aayā mujhe
qurbatoñ kī zad meñ bahr-e-bekarāñ chhoTā lagā
wus'at-e-sahra ke aage aasman chhoTa laga
dhup aisi thi ki sar ko saeban chhoTa laga
log KHush-fahmi ke panjon par khaDe the fitratan
aur yun qad mera un ke darmiyan chhoTa laga
yas mahrumi tazabzub karb KHush-fahmi ana
itne saman the mera tanha makan chhoTa laga
ji raha hai wa'da-e-farda pe tere ai KHuda
warna is bande ko tera ye jahan chhoTa laga
ek ek lamhe ka jab manga gaya mujh se hisab
jaane kyon zehn-e-shahanshah-e-zaman chhoTa laga
dur se qatra bhi ek dariya nazar aaya mujhe
qurbaton ki zad mein bahr-e-bekaran chhoTa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.