wusat mere KHayal mein arz-o-sama ki hai
wusat mere KHayal mein arz-o-sama ki hai
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
MORE BYRasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
vus.at mire ḳhayāl meñ arz-o-samā kī hai
mahram nazar mirī haram-e-kibriyā kī hai
har shai se husn-e-sān.e-e-qudrat hai āshkār
har gul meñ bū basī kisī rangīñ adā kī hai
pahuñcheñ duā.eñ bāb-e-harīm-e-qubūl tak
tāsīr ye kisī dil-e-dard-āshnā kī hai
gulshan meñ hai ḳhirām urūs-e-bahār kā
katre haiñ gul ye turfa ravish naqsh-e-pā kī hai
ab dīdanī hai har gul-e-rangīñ kā bāñkpan
aalam shabāb kā hai nazākat balā kī hai
gulzār marġh-zār meñ aur sabza-zār meñ
naddī ravāñ nasīm ke juud o saḳhā kī hai
bulbul kī lai meñ barbat-e-tauhīd kā hai soz
har samt dhuum baaġh meñ sall-e-alā kī hai
naġhma-sarā hai fāḳhta vahdat ke saaz par
nāloñ meñ qumriyoñ ke ajab nai safā kī hai
kaliyoñ ke qahqahe haiñ fazā-e-basīt meñ
ġhunchoñ se aaj āñkh-micholī sabā kī hai
'maḳhfī' kisī ġharīb ke nāloñ kā hai asar
aaya hai abr jhuum ke rahmat ḳhudā kī hai
wusat mere KHayal mein arz-o-sama ki hai
mahram nazar meri haram-e-kibriya ki hai
har shai se husn-e-sane-e-qudrat hai aashkar
har gul mein bu basi kisi rangin ada ki hai
pahunchen duaen bab-e-harim-e-qubul tak
tasir ye kisi dil-e-dard-ashna ki hai
gulshan mein hai KHiram urus-e-bahaar ka
katre hain gul ye turfa rawish naqsh-e-pa ki hai
ab didani hai har gul-e-rangin ka bankpan
aalam shabab ka hai nazakat bala ki hai
gulzar margh-zar mein aur sabza-zar mein
naddi rawan nasim ke jud o saKHa ki hai
bulbul ki lai mein barbat-e-tauhid ka hai soz
har samt dhum bagh mein sall-e-ala ki hai
naghma-sara hai faKHta wahdat ke saz par
nalon mein qumriyon ke ajab nai safa ki hai
kaliyon ke qahqahe hain faza-e-basit mein
ghunchon se aaj aankh-micholi saba ki hai
'maKHfi' kisi gharib ke nalon ka hai asar
aaya hai abr jhum ke rahmat KHuda ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.