wusaten mahdud hain idrak-e-insan ke liye
vus'ateñ mahdūd haiñ idrāk-e-insāñ ke liye
varna har zarra hai duniyā chashm-e-irfāñ ke liye
ai ḳhizāñ tū shauq ke saarā chaman barbād kar
chand phāñseñ chhoḌ jā merī rag-e-jāñ ke liye
duur pahuñchīñ shohrateñ raftār sahar-āsār kī
khul ga.e raste tire husn-e-ḳhirāmāñ ke liye
phuul gulshan ke nahīñ to ḳhāk-e-sahrā hī sahī
kuchh na kuchh to chāhiye taskīn-e-dāmāñ ke liye
is liye detā huuñ dil tum ko ki lo aur bhuul jaao
maiñ ne ik tasvīr dī hai tāq-e-nisyāñ ke liye
dhajjiyāñ uḌne ko ai 'sīmāb' vus'at chāhiye
hai koī maidān āshob-e-garebāñ ke liye
wus'aten mahdud hain idrak-e-insan ke liye
warna har zarra hai duniya chashm-e-irfan ke liye
ai KHizan tu shauq ke sara chaman barbaad kar
chand phansen chhoD ja meri rag-e-jaan ke liye
dur pahunchin shohraten raftar sahar-asar ki
khul gae raste tere husn-e-KHiraman ke liye
phul gulshan ke nahin to KHak-e-sahra hi sahi
kuchh na kuchh to chahiye taskin-e-daman ke liye
is liye deta hun dil tum ko ki lo aur bhul jao
main ne ek taswir di hai taq-e-nisyan ke liye
dhajjiyan uDne ko ai 'simab' wus'at chahiye
hai koi maidan aashob-e-gareban ke liye
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 251)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.