ya KHuda mujhko wo andaz-e-shakebai de
yā ḳhudā mujh ko vo andāz-e-shakebā.ī de
mire chehre ko mire zaḳhmoñ kī gahrā.ī de
faash ho jaa.eñ mirī ruuh pe kaunain ke raaz
mujh ko vo aañkh de āñkhoñ ko vo bīnā.ī de
aap hī apne ko sangsār kiyā hai maiñ ne
mere qātil ko na ilzām-e-masīhā.ī de
kab talak tarsūñgā kāñToñ bhare pairāhan ko
barhana-tan huuñ mujhe ḳhil.at-e-rusvā.ī de
mire chehre pe ye lab haiñ ki sulagtā huā zaḳhm
mire lafzoñ ko zabāñ yā mujhe goyā.ī de
ya KHuda mujh ko wo andaz-e-shakebai de
mere chehre ko mere zaKHmon ki gahrai de
fash ho jaen meri ruh pe kaunain ke raaz
mujh ko wo aankh de aankhon ko wo binai de
aap hi apne ko sangsar kiya hai main ne
mere qatil ko na ilzam-e-masihai de
kab talak tarsunga kanTon bhare pairahan ko
barhana-tan hun mujhe KHilat-e-ruswai de
mere chehre pe ye lab hain ki sulagta hua zaKHm
mere lafzon ko zaban ya mujhe goyai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.