ya mere ho jaiye ya mujhko apna kijiye
yā mire ho jā.iye yā mujh ko apnā kījiye
zinda rahne kī koī sūrat to paidā kījiye
ġharq kar diije mujhe bhī zaat ke girdāb meñ
kab talak qatra rahūñgā mujh ko dariyā kījiye
aap kī be-chehragī meñ chehragī kā aks hai
aap har sūrat ayaañ haiñ laakh pardā kījiye
hāsil-e-manzil nahīñ gard-e-safar ke mā-sivā
har tamanna ḳhāk-e-pā hai yā tamanna kījiye
un kā va.ada hī anā ke TūTne kī baat hai
be-yaqīnī se to behtar hai bharosa kījiye
rahnumā.ī ke liye 'shāriq' mileñge ḳhizr bhī
aap qadmoñ ko to apne dasht-paimā kījiye
ya mere ho jaiye ya mujh ko apna kijiye
zinda rahne ki koi surat to paida kijiye
gharq kar dije mujhe bhi zat ke girdab mein
kab talak qatra rahunga mujh ko dariya kijiye
aap ki be-chehragi mein chehragi ka aks hai
aap har surat ayan hain lakh parda kijiye
hasil-e-manzil nahin gard-e-safar ke ma-siwa
har tamanna KHak-e-pa hai ya tamanna kijiye
un ka wada hi ana ke TuTne ki baat hai
be-yaqini se to behtar hai bharosa kijiye
rahnumai ke liye 'shaariq' milenge KHizr bhi
aap qadmon ko to apne dasht-paima kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.