ya-rab hai aaj un ke KHud aane ka kya sabab
ya-rab hai aaj un ke KHud aane ka kya sabab
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
yā-rab hai aaj un ke ḳhud aane kā kyā sabab
ulfat jatā ke mujh ko manāne kā kyā sabab
manzūr mere rone pe hañsnā agar na thā
ġhairoñ se hañs ke mujh ko rulāne kā kyā sabab
sābit huā ki vasl meñ hai uzr aap ko
mauqe ke vaqt varna bahāne kā kyā sabab
maanā ki aap aane meñ jaatī hai shān-e-husn
par jab bulā.ūñ maiñ to na aane kā kyā sabab
shāyad tumhārī zulm kī aadat hī ho ga.ī
āshiq ko varna roz satāne kā kyā sabab
pūchhā jo maiñ ne kitne haiñ āshiq tire kahā
kyoñ pūchhte ho haal zamāne kā kyā sabab
sāhib ḳhatā muaaf mujhe shak to kuchh nahīñ
be-vaqt lekin aaj nahāne kā kyā sabab
ai dil payām-e-vasl ye un kī taraf se hai
is vaqt varna baam pe aane kā kyā sabab
ai 'sehr' kyā hai dil kahīñ aaya batā.iye
kū-e-butāñ meñ roz ke jaane kā kyā sabab
ya-rab hai aaj un ke KHud aane ka kya sabab
ulfat jata ke mujh ko manane ka kya sabab
manzur mere rone pe hansna agar na tha
ghairon se hans ke mujh ko rulane ka kya sabab
sabit hua ki wasl mein hai uzr aap ko
mauqe ke waqt warna bahane ka kya sabab
mana ki aap aane mein jati hai shan-e-husn
par jab bulaun main to na aane ka kya sabab
shayad tumhaari zulm ki aadat hi ho gai
aashiq ko warna roz satane ka kya sabab
puchha jo main ne kitne hain aashiq tere kaha
kyon puchhte ho haal zamane ka kya sabab
sahib KHata muaf mujhe shak to kuchh nahin
be-waqt lekin aaj nahane ka kya sabab
ai dil payam-e-wasl ye un ki taraf se hai
is waqt warna baam pe aane ka kya sabab
ai 'sehr' kya hai dil kahin aaya bataiye
ku-e-butan mein roz ke jaane ka kya sabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.