ya-rab hai dil mudam kisi iztirar mein
yā-rab hai dil mudām kisī iztirār meñ
kuchh naqsh rah gayā hai tire shāhkār meñ
ab paḌ chukī hai ḳhuub tamannā kī ḳhū mujhe
tum aa ga.e ho maiñ huuñ magar intizār meñ
tanhā.i-e-safar kī aziyyat hai dil-shikan
ab koī rāhzan hī mile rahguzār meñ
tere sitam pe terī taraf dekh kar huuñ chup
kitnī tavīl baat hai is iḳhtisār meñ
ab ye khulā ki vo bhī mirī justujū meñ the
maiñ jin ko DhūñDhtā thā savād-e-bahār meñ
gul-rang mai bikher ke ruḳh par chale haiñ vo
qaus-e-quzah tulūa huī rahguzār meñ
'shaukat' bichhaḌ gayā huuñ usī qāfile se maiñ
manzil ġhurūb ho ga.ī jis ke ġhubār meñ
ya-rab hai dil mudam kisi iztirar mein
kuchh naqsh rah gaya hai tere shahkar mein
ab paD chuki hai KHub tamanna ki KHu mujhe
tum aa gae ho main hun magar intizar mein
tanhai-e-safar ki aziyyat hai dil-shikan
ab koi rahzan hi mile rahguzar mein
tere sitam pe teri taraf dekh kar hun chup
kitni tawil baat hai is iKHtisar mein
ab ye khula ki wo bhi meri justuju mein the
main jin ko DhunDhta tha sawad-e-bahaar mein
gul-rang mai bikher ke ruKH par chale hain wo
qaus-e-quzah tulua hui rahguzar mein
'shaukat' bichhaD gaya hun usi qafile se main
manzil ghurub ho gai jis ke ghubar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.