ya-rab is inqalab se ghabra raha hun main
yā-rab is inqalāb se ghabrā rahā huuñ maiñ
ab dil rahā na dil kī tamanna rahā huuñ maiñ
ġham māñgtā huuñ aur ḳhushī pā rahā huuñ maiñ
kis husn se tabāh kiyā jā rahā huuñ maiñ
mere sivā sabhī jise kahte haiñ zindagī
tere firāq meñ vo sazā pā rahā huuñ maiñ
tāroñ kī tarah raushan-o-mahfūz huuñ magar
duniyā ko dekh dekh ke tharrā rahā huuñ maiñ
aa.egā in laboñ pe tabassum na mere baad
saarī bahār luuT ke le jā rahā huuñ maiñ
rutba-shanās-e-zarra-o-ḳhurshīd huuñ magar
har chiiz par nigāh ko Thahrā rahā huuñ maiñ
himmat bañdhī rahe to ġham-e-do-jahān kyā
tum chup ho bas isī liye ghabrā rahā huuñ maiñ
ai kohnagī-e-nazm-e-shab-o-roz hoshiyār
dil se ik āftāb ko chamkā rahā huuñ maiñ
us vaqt intizār kā aalam na pūchhiye
jab koī baar baar kahe aa rahā huuñ maiñ
kartā huuñ dil meñ shaam ko yuuñ sub.h kā ḳhayāl
jaise kisī qusūr pe pachhtā rahā huuñ maiñ
dair-o-haram ke daam bichhā kar zamīn par
kis kis tarah talāsh kiyā jā rahā huuñ maiñ
yaad aa na ai nasīm-e-sahar ai shaguftagī
ab dhuup tez ho ga.ī murjhā rahā huuñ maiñ
qabze meñ do jahāñ nahīñ ai dost kyā karūñ
sar rakh ke tere paañv pe pachhtā rahā huuñ maiñ
ab zabt-e-ġham kī laaj hai 'shādāñ' ḳhudā ke haath
ab tak to dil kī baat chhupātā rahā huuñ maiñ
ya-rab is inqalab se ghabra raha hun main
ab dil raha na dil ki tamanna raha hun main
gham mangta hun aur KHushi pa raha hun main
kis husn se tabah kiya ja raha hun main
mere siwa sabhi jise kahte hain zindagi
tere firaq mein wo saza pa raha hun main
taron ki tarah raushan-o-mahfuz hun magar
duniya ko dekh dekh ke tharra raha hun main
aaega in labon pe tabassum na mere baad
sari bahaar luT ke le ja raha hun main
rutba-shanas-e-zarra-o-KHurshid hun magar
har chiz par nigah ko Thahra raha hun main
himmat bandhi rahe to gham-e-do-jahan kya
tum chup ho bas isi liye ghabra raha hun main
ai kohnagi-e-nazm-e-shab-o-roz hoshiyar
dil se ek aaftab ko chamka raha hun main
us waqt intizar ka aalam na puchhiye
jab koi bar bar kahe aa raha hun main
karta hun dil mein sham ko yun subh ka KHayal
jaise kisi qusur pe pachhta raha hun main
dair-o-haram ke dam bichha kar zamin par
kis kis tarah talash kiya ja raha hun main
yaad aa na ai nasim-e-sahar ai shaguftagi
ab dhup tez ho gai murjha raha hun main
qabze mein do jahan nahin ai dost kya karun
sar rakh ke tere panw pe pachhta raha hun main
ab zabt-e-gham ki laj hai 'shadan' KHuda ke hath
ab tak to dil ki baat chhupata raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.