ya-rab ye kaisa aaj ka insan ho gaya
yā-rab ye kaisā aaj kā insān ho gayā
taḳhlīq kar ke tū bhī pashemān ho gayā
mausam bahār kā thā ḳhizāñ jald aa ga.ī
hañstā huā chaman mirā vīrān ho gayā
luuTā hai jis ne shahr ke sabr-o-qarār ko
vo shaḳhs mere shahr kā pardhān ho gayā
aise na.e chalan kī chalīñ āñdhiyāñ yahāñ
insān apnī zaat meñ haivān ho gayā
chāhā thā maiñ ne dil se kabhī tujh ko TuuT kar
vo hādisa hayāt kā unvān ho gayā
thiiñ zindagī kī raah meñ dushvāriyāñ bahut
marnā kisī ke ishq meñ āsān ho gayā
itnā hasīn hai mire 'gulshan' kā bāñkpan
har gul mirī nigāh meñ zīshān ho gayā
ya-rab ye kaisa aaj ka insan ho gaya
taKHliq kar ke tu bhi pasheman ho gaya
mausam bahaar ka tha KHizan jald aa gai
hansta hua chaman mera viran ho gaya
luTa hai jis ne shahr ke sabr-o-qarar ko
wo shaKHs mere shahr ka pardhan ho gaya
aise nae chalan ki chalin aandhiyan yahan
insan apni zat mein haiwan ho gaya
chaha tha main ne dil se kabhi tujh ko TuT kar
wo hadisa hayat ka unwan ho gaya
thin zindagi ki rah mein dushwariyan bahut
marna kisi ke ishq mein aasan ho gaya
itna hasin hai mere 'gulshan' ka bankpan
har gul meri nigah mein zishan ho gaya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 434)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.