yaad aa raha tha zehni dabaw ke sath sath
yaad aa rahā thā zehnī dabāv ke saath saath
ik film chal rahī thī tanāv ke saath saath
ye aur baat us kī nazar meñ na aa sakā
ghaav thā ek aur bhī ghaav ke saath saath
dariyā to apnī mauj meñ phir bhī ravāñ rahā
ubhre the kuchh bhañvar bhī bahāv ke saath saath
mahfil meñ us kā raat bahut tazkira rahā
baiThe hue the log alaav ke saath saath
so.e hue the hukmrāñ muñh sar lapeT kar
bastī ujaḌ rahī thī kaTāv ke saath saath
us se 'nadīm' apnā ta'alluq 'ajīb thā
nafrat panap rahī thī lagāv ke saath saath
yaad aa raha tha zehni dabaw ke sath sath
ek film chal rahi thi tanaw ke sath sath
ye aur baat us ki nazar mein na aa saka
ghaw tha ek aur bhi ghaw ke sath sath
dariya to apni mauj mein phir bhi rawan raha
ubhre the kuchh bhanwar bhi bahaw ke sath sath
mahfil mein us ka raat bahut tazkira raha
baiThe hue the log alaw ke sath sath
soe hue the hukmran munh sar lapeT kar
basti ujaD rahi thi kaTaw ke sath sath
us se 'nadim' apna ta'alluq 'ajib tha
nafrat panap rahi thi lagaw ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.