yaad aaegi bahut tumko kahani meri
yaad aa.egī bahut tum ko kahānī merī
ġham meñ Duubī huī kambaḳht javānī merī
hañs rahā huuñ jo bhalā is meñ bhī hairat kaisī
ġham meñ hañsne kī to ‘ādat hai purānī merī
merī ġhazleñ hī nahīñ jism bhī hai ḳhud merā
mujh ko mā'lūm hai har chiiz hai faanī merī
ġham ke badle meñ zamāne se mohabbat kī hai
bas rahegī ye zamāne meñ nishānī merī
dil zamāne se lagānā na 'dharam' sab ne kahā
dil to dil thā yahī ik baat na maanī merī
yaad aaegi bahut tum ko kahani meri
gham mein Dubi hui kambaKHt jawani meri
hans raha hun jo bhala is mein bhi hairat kaisi
gham mein hansne ki to ‘adat hai purani meri
meri ghazlen hi nahin jism bhi hai KHud mera
mujh ko ma'lum hai har chiz hai fani meri
gham ke badle mein zamane se mohabbat ki hai
bas rahegi ye zamane mein nishani meri
dil zamane se lagana na 'dharam' sab ne kaha
dil to dil tha yahi ek baat na mani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.