yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua
yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
yaad aatā hai to kyā phirtā huuñ ghabrāyā huā
champa.ī rang us kā aur joban vo gadrāyā huā
baat hī avval to vo kartā nahīñ mujh se kabhī
aur jo bole hai kuchh muñh se to sharmāyā huā
jā ke phir aa.uuñ na jā.ūñ us galī meñ dauḌ dauḌ
par karūñ kyā maiñ nahiñ phirtā hai dil aayā huā
be-sabab jo mujh se hai vo sho.ala-ḳhū sargarm-e-jañg
maiñ to hairāñ huuñ ki ye kis kā hai bhaḌkāyā huā
vo kare azm-e-safar to kījiye duniyā se kuuch
ye irāda ham ne bhī dil meñ hai Thahrāyā huā
nok-e-mizhgāñ par dil-e-pazh-murda hai yuuñ sar-nigūñ
shāḳh se jhuk aa.e hai juuñ phuul murjhāyā huā
jā.ūñ jā.ūñ kyā lagāyā hai miyāñ baiThe raho
huuñ maiñ apnī ziist se aage hī uktāyā huā
terī duurī se ye hālat ho ga.ī apnī ki aah
an-qarīb-e-marg har ik apnā ham-sāya huā
kyā kaheñ ab 'ishq kyā kyā ham se kartā hai sulūk
dil pe be-tābī kā ik pyāda hai biThlāyā huā
hai qalaq se dil kī ye hālat mirī ab tū ki maiñ
chār-sū phirtā huuñ apne ghar meñ ghabrāyā huā
chupke chupke apne apne dil meñ sab kahte haiñ log
kyā balā vahshat huī hai is ko yā saayā huā
hukm bār-e-majlis ab 'jur.at' ko bhī ho jaa.e jī
ye bichāra kab se darvāze pe hai aayā huā
yaad aata hai to kya phirta hun ghabraya hua
champai rang us ka aur joban wo gadraya hua
baat hi awwal to wo karta nahin mujh se kabhi
aur jo bole hai kuchh munh se to sharmaya hua
ja ke phir aaun na jaun us gali mein dauD dauD
par karun kya main nahin phirta hai dil aaya hua
be-sabab jo mujh se hai wo shoala-KHu sargarm-e-jang
main to hairan hun ki ye kis ka hai bhaDkaya hua
wo kare azm-e-safar to kijiye duniya se kuch
ye irada hum ne bhi dil mein hai Thahraya hua
nok-e-mizhgan par dil-e-pazh-murda hai yun sar-nigun
shaKH se jhuk aae hai jun phul murjhaya hua
jaun jaun kya lagaya hai miyan baiThe raho
hun main apni zist se aage hi uktaya hua
teri duri se ye haalat ho gai apni ki aah
an-qarib-e-marg har ek apna ham-saya hua
kya kahen ab 'ishq kya kya hum se karta hai suluk
dil pe be-tabi ka ek pyaada hai biThlaya hua
hai qalaq se dil ki ye haalat meri ab tu ki main
chaar-su phirta hun apne ghar mein ghabraya hua
chupke chupke apne apne dil mein sab kahte hain log
kya bala wahshat hui hai is ko ya saya hua
hukm bar-e-majlis ab 'jurat' ko bhi ho jae ji
ye bichaara kab se darwaze pe hai aaya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.