yaad aate hain bar bar hamein
yaad aate haiñ baar baar hameñ
kar ga.e haiñ jo be-qarār hameñ
ham ḳhizāñ kī na aarzū karte
raas aatī agar bahār hameñ
ek halkī jhalak masarrat kī
kar ga.ī ġham se ham-kanār hameñ
fart-e-girya se surḳh haiñ āñkheñ
log kahte haiñ bāda-ḳhvār hameñ
gum rahe ham ḳhizāñ ke saa.e meñ
DhūñDhtī rah ga.ī bahār hameñ
rahravān-e-rah-e-mohabbat haiñ
jāntī hai ye rahguzār hameñ
kho ga.e haiñ nishān manzil ke
tū ne bhaTkā diyā ġhubār hameñ
ai 'ziyā' un kī mehrbānī se
ho gayā hai ġhamoñ se pyaar hameñ
yaad aate hain bar bar hamein
kar gae hain jo be-qarar hamein
hum KHizan ki na aarzu karte
ras aati agar bahaar hamein
ek halki jhalak masarrat ki
kar gai gham se ham-kanar hamein
fart-e-girya se surKH hain aankhen
log kahte hain baada-KHwar hamein
gum rahe hum KHizan ke sae mein
DhunDhti rah gai bahaar hamein
rahrawan-e-rah-e-mohabbat hain
jaanti hai ye rahguzar hamein
kho gae hain nishan manzil ke
tu ne bhaTka diya ghubar hamein
ai 'ziya' un ki mehrbani se
ho gaya hai ghamon se pyar hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.