yaad aate ho kis saliqe se
yaad aate ho kis salīqe se
jaise bārish ho vaqfe vaqfe se
yaad koī rahī ho vābasta
jaise har rut ke ḳhaas lamhe se
jaise ye bhī ho husn kā andāz
baat karnā magar taqāze se
mausam-e-gul ko koī batlā do
dil bhī khiltā hai phuul khilne se
raat kā apnā husn hotā hai
raat ko dekh din ke shīshe se
mere siine meñ rakh gayā har dard
merā hamdard kis qarīne se
ik shahādat hai raah meñ marnā
maut hai lauT jaanā raste se
lutf ūñchī uḌaan meñ kyā hai
pūchh lenā kisī parinde se
har muḳhālif hai vājib-ul-qatl aaj
tere islām ke havāle se
kār-farmā hai kyā pas-e-alfāz
kitnā vāzeh hai tere lahje se
kaun sī baat ho ga.ī aisī
yaar uThne lage haiñ chupke se
dekh raftār-e-zindagī 'rūhī'
ruk ga.ī gaaḌī ek jhaTke se
yaad aate ho kis saliqe se
jaise barish ho waqfe waqfe se
yaad koi rahi ho wabasta
jaise har rut ke KHas lamhe se
jaise ye bhi ho husn ka andaz
baat karna magar taqaze se
mausam-e-gul ko koi batla do
dil bhi khilta hai phul khilne se
raat ka apna husn hota hai
raat ko dekh din ke shishe se
mere sine mein rakh gaya har dard
mera hamdard kis qarine se
ek shahadat hai rah mein marna
maut hai lauT jaana raste se
lutf unchi uDan mein kya hai
puchh lena kisi parinde se
har muKHalif hai wajib-ul-qatl aaj
tere islam ke hawale se
kar-farma hai kya pas-e-alfaz
kitna wazeh hai tere lahje se
kaun si baat ho gai aisi
yar uThne lage hain chupke se
dekh raftar-e-zindagi 'ruhi'
ruk gai gaDi ek jhaTke se
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 526)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.