yaad aati hai bahut yar teri sham ke baad
yaad aatī hai bahut yaar tirī shaam ke baa'd
is liye aañkh meñ rahtī hai namī shaam ke baa'd
chāñd bhī āsmāñ se us ko utar kar dekhe
ghar se bāhar vo agar nikle kabhī shaam ke baa'd
maiñ to us paude ko paanī bhī nahīñ detā kabhī
kaise khil jaatī hai ye ġham kī kalī shaam ke baa'd
mere siine se lipaT kar mire ġham rote haiñ
dost ban jaatī hai tanhā.ī mirī shaam ke baa'd
chāñd ban ke tū kisī roz mire ghar meñ aa
ghar meñ hotī hai kamī raushnī kī shaam ke baa'd
zaḳhm sab taazā hue terī judā.ī ke kal
jab sunī ek ġhazal dard-bharī shaam ke baa'd
vasl-e-mahbūb kī ummīd meñ tezī se chalīñ
dhaḌkaneñ aur ye dīvār-ghaḌī shaam ke baa'd
kuchh bhī to zindagī meñ 'sād' nahīñ badlā tirī
sub.h jo hotā hai hotā hai vahī shaam ke baa'd
yaad aati hai bahut yar teri sham ke ba'd
is liye aankh mein rahti hai nami sham ke ba'd
chand bhi aasman se us ko utar kar dekhe
ghar se bahar wo agar nikle kabhi sham ke ba'd
main to us paude ko pani bhi nahin deta kabhi
kaise khil jati hai ye gham ki kali sham ke ba'd
mere sine se lipaT kar mere gham rote hain
dost ban jati hai tanhai meri sham ke ba'd
chand ban ke tu kisi roz mere ghar mein aa
ghar mein hoti hai kami raushni ki sham ke ba'd
zaKHm sab taza hue teri judai ke kal
jab suni ek ghazal dard-bhari sham ke ba'd
wasl-e-mahbub ki ummid mein tezi se chalin
dhaDkanen aur ye diwar-ghaDi sham ke ba'd
kuchh bhi to zindagi mein 'sad' nahin badla teri
subh jo hota hai hota hai wahi sham ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.