yaad aisa koi aaya hai ki ji jaanta hai
yaad aisā koī aaya hai ki jī jāntā hai
is qadar dil ko dukhāyā hai ki jī jāntā hai
ishq yuuñ jaan ko aaya hai ki jī jāntā hai
roz-o-shab aisā rulāyā hai ki jī jāntā hai
kyā mohabbat bhī koī jurm hai is duniyā ne
aisā hangāma uThāyā hai ki jī jāntā hai
ho sakegā na masīhā se bhī is dil kā ilaaj
zaḳhm vo us ne lagāyā hai ki jī jāntā hai
vo mujhe bhuul bhī saktā hai ye ummīd na thī
is tarah us ne bhulāyā hai ki jī jāntā hai
dil hai qaabū meñ na maiñ apne hī bas meñ huuñ 'payām'
aisā dīvāna banāyā hai ki jī jāntā hai
yaad aisa koi aaya hai ki ji jaanta hai
is qadar dil ko dukhaya hai ki ji jaanta hai
ishq yun jaan ko aaya hai ki ji jaanta hai
roz-o-shab aisa rulaya hai ki ji jaanta hai
kya mohabbat bhi koi jurm hai is duniya ne
aisa hangama uThaya hai ki ji jaanta hai
ho sakega na masiha se bhi is dil ka ilaj
zaKHm wo us ne lagaya hai ki ji jaanta hai
wo mujhe bhul bhi sakta hai ye ummid na thi
is tarah us ne bhulaya hai ki ji jaanta hai
dil hai qabu mein na main apne hi bas mein hun 'payam'
aisa diwana banaya hai ki ji jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.