yaad ayyame ki dil rakhte the jaan rakhte the hum
Interesting Fact
January 1982
yaad ayyāme ki dil rakhte the jaañ rakhte the ham
shikva-sanjī ke liye muñh meñ zabāñ rakhte the ham
sāz-e-ġham rakhte the ham soz-e-nihāñ rakhte the ham
sar meñ saudā dil meñ nashtar sā nihāñ rakhte the ham
gard-bād āsāz meñ bar āsmāñ rakhte the ham
apne qadmoñ ke tale saarā jahāñ rakhte the ham
hasrat-e-āshuftagī shauq-e-ziyāñ rakhte the ham
rauzan-e-ummīd-o-bīm-e-pāsbāñ rakhte the ham
fursat-e-be-sūd sa.ī-e-rā.igāñ rakhte the ham
thā duāoñ se pare vo āstāñ rakhte the ham
parda-e-jāñ meñ nigār-e-dil-sitāñ rakhte the ham
gulshan-e-dil meñ bahār-e-be-ḳhizāñ rakhte the ham
kunj-e-uzlat meñ sarishk-e-ḳhūñ ravāñ rakhte the ham
rāz-dāroñ se bhī ik rāz-e-nihāñ rakhte the ham
shab hama shab khelte the halqa-hā-e-zulf se
dīda-e-ġhammāz ko ham dāstāñ rakhte the ham
Thes pahuñchāte the pindār-e-ḳhudī ko rāt-din
phir bhī dil kī ārzūoñ ko javāñ rakhte the ham
ab na vo dil hai na vo saudā na vo tuġhyān-e-shauq
yaad ayyāme ki dil vaqf-e-fuġhāñ rakhte the ham
yaad ayyame ki dil rakhte the jaan rakhte the hum
shikwa-sanji ke liye munh mein zaban rakhte the hum
saz-e-gham rakhte the hum soz-e-nihan rakhte the hum
sar mein sauda dil mein nashtar sa nihan rakhte the hum
gard-baad aasaz mein bar aasman rakhte the hum
apne qadmon ke tale sara jahan rakhte the hum
hasrat-e-ashuftagi shauq-e-ziyan rakhte the hum
rauzan-e-ummid-o-bim-e-pasban rakhte the hum
fursat-e-be-sud sai-e-raigan rakhte the hum
tha duaon se pare wo aastan rakhte the hum
parda-e-jaan mein nigar-e-dil-sitan rakhte the hum
gulshan-e-dil mein bahaar-e-be-KHizan rakhte the hum
kunj-e-uzlat mein sarishk-e-KHun rawan rakhte the hum
raaz-daron se bhi ek raaz-e-nihan rakhte the hum
shab hama shab khelte the halqa-ha-e-zulf se
dida-e-ghammaz ko hum dastan rakhte the hum
Thes pahunchate the pindar-e-KHudi ko raat-din
phir bhi dil ki aarzuon ko jawan rakhte the hum
ab na wo dil hai na wo sauda na wo tughyan-e-shauq
yaad ayyame ki dil waqf-e-fughan rakhte the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.