yaad-e-gesu mein pareshan kis qadar dil ho gaya
yaad-e-gesu mein pareshan kis qadar dil ho gaya
Fazal Husain Sabir
MORE BYFazal Husain Sabir
yād-e-gesū meñ pareshāñ kis qadar dil ho gayā
intihā ye hai ki dūd-e-sham.a-e-mahfil ho gayā
jalva-farmā koī rashk-e-māh-e-kāmil ho gayā
allah-allah ab kisī qābil mirā dil ho gayā
kashtī-e-umr-e-ravāñ kā hāl-e-nākāmī na pūchh
paas jab sāhil ke pahuñchī duur sāhil ho gayā
saath ġhairoñ ke vo aa.e haiñ ayādat ke liye
sharbat-e-dīdār bhī ab samm-e-qātil ho gayā
dil vo lenā chāheñ to le jaa.eñ is kā ġham nahīñ
is liye ḳhush huuñ ki ye dil un ke qābil ho gayā
hosh meñ aa hosh meñ ai ham-nashīñ āzād ho
ban ke dīvāna tū pāband-e-salāsil ho gayā
pher dī sayyād ne kyā us kī gardan par chhurī
yak-ba-yak mauqūf kyoñ shor-e-anādil ho gayā
rafta rafta dāġh-e-dil ne kī taraqqī is qadar
pahle taarā thā magar ab māh-e-kāmil ho gayā
tere ik tīr-e-nazar ne kar diyā donoñ kā kaam
ai sitam-parvar jigar bhī dil bhī ghāyal ho gayā
tere bīmār-e-mohabbat kī ye hālat ho ga.ī
baiThnā uThnā to kyā dam lenā mushkil ho gayā
un kī mahfil se jo uThvā.e ga.e vo aur haiñ
maiñ to har mahfil meñ 'sābir' rang-e-mahfil ho gayā
yaad-e-gesu mein pareshan kis qadar dil ho gaya
intiha ye hai ki dud-e-shama-e-mahfil ho gaya
jalwa-farma koi rashk-e-mah-e-kaamil ho gaya
allah-allah ab kisi qabil mera dil ho gaya
kashti-e-umr-e-rawan ka haal-e-nakaami na puchh
pas jab sahil ke pahunchi dur sahil ho gaya
sath ghairon ke wo aae hain ayaadat ke liye
sharbat-e-didar bhi ab samm-e-qatil ho gaya
dil wo lena chahen to le jaen is ka gham nahin
is liye KHush hun ki ye dil un ke qabil ho gaya
hosh mein aa hosh mein ai ham-nashin aazad ho
ban ke diwana tu paband-e-salasil ho gaya
pher di sayyaad ne kya us ki gardan par chhuri
yak-ba-yak mauquf kyon shor-e-anadil ho gaya
rafta rafta dagh-e-dil ne ki taraqqi is qadar
pahle tara tha magar ab mah-e-kaamil ho gaya
tere ek tir-e-nazar ne kar diya donon ka kaam
ai sitam-parwar jigar bhi dil bhi ghayal ho gaya
tere bimar-e-mohabbat ki ye haalat ho gai
baiThna uThna to kya dam lena mushkil ho gaya
un ki mahfil se jo uThwae gae wo aur hain
main to har mahfil mein 'sabir' rang-e-mahfil ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.