yaad-e-mazi ke diye yun dil-e-viran mein jalen
yaad-e-mazi ke diye yun dil-e-viran mein jalen
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
yād-e-māzī ke diye yuuñ dil-e-vīrāñ meñ jaleñ
jis tarah sham.eñ kisī gor-e-ġharībāñ meñ jaleñ
ġham-e-daurāñ meñ jaleñ yā ġham-e-jānāñ meñ jaleñ
ham ko jalnā hai sahar tak kisī aivāñ meñ jaleñ
raakh ke Dher haiñ ham kaun kurede ham ko
laakh ham ahl-e-vafā ātish-e-pinhāñ meñ jaleñ
aaj bujhne ko hai ye bhī dil-e-muflis kī tarah
kab tak āñkhoñ ke kañval furqat-e-jānāñ meñ jaleñ
hai hamārā hī lahū jaam meñ raqsāñ saaqī
ham vo haiñ jin ke makāñ jashn-e-bahārāñ meñ jaleñ
kaash ho jaa.e jahāñ sho.ala-ba-dāmāñ 'naqvī'
jism insān ke kyoñ ātish-e-insāñ meñ jaleñ
yaad-e-mazi ke diye yun dil-e-viran mein jalen
jis tarah shamen kisi gor-e-ghariban mein jalen
gham-e-dauran mein jalen ya gham-e-jaanan mein jalen
hum ko jalna hai sahar tak kisi aiwan mein jalen
rakh ke Dher hain hum kaun kurede hum ko
lakh hum ahl-e-wafa aatish-e-pinhan mein jalen
aaj bujhne ko hai ye bhi dil-e-muflis ki tarah
kab tak aankhon ke kanwal furqat-e-jaanan mein jalen
hai hamara hi lahu jam mein raqsan saqi
hum wo hain jin ke makan jashn-e-bahaaran mein jalen
kash ho jae jahan shoala-ba-daman 'naqwi'
jism insan ke kyon aatish-e-insan mein jalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.