Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaad-e-mazi ye kya kiya tu ne

Nazar Barni

yaad-e-mazi ye kya kiya tu ne

Nazar Barni

MORE BYNazar Barni

    yād-e-māzī ye kyā kiyā ne

    hañste hañste rulā diyā ne

    muskurā kar mizāj kyā pūchhā

    dukhtī rag ko dabā diyā ne

    rañg-o-bū meñ bhī dilkashī na rahī

    rañg aisā chaḌhā diyā ne

    marhabā ai ḳhayāl-e-zulf-e-butāñ

    ujḌe ghar ko basā diyā ne

    sub.h-e-ummīd shukriya terā

    tīrgī ko miTā diyā ne

    ġham meñ aayā nazar nashāt rañg

    ham ko jiinā sikhā diyā ne

    jis 'nazar' se milā thā pyaar kabhī

    us 'nazar' se girā diyā ne

    yaad-e-mazi ye kya kiya tu ne

    hanste hanste rula diya tu ne

    muskura kar mizaj kya puchha

    dukhti rag ko daba diya tu ne

    rang-o-bu mein bhi dilkashi na rahi

    rang aisa chaDha diya tu ne

    marhaba ai KHayal-e-zulf-e-butan

    ujDe ghar ko basa diya tu ne

    subh-e-ummid shukriya tera

    tirgi ko miTa diya tu ne

    gham mein aaya nazar nashat ka rang

    hum ko jina sikha diya tu ne

    jis 'nazar' se mila tha pyar kabhi

    us 'nazar' se gira diya tu ne

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now