yaad guzre hue lamhon ki saza ho jaise
yaad guzre hue lamhoñ kī sazā ho jaise
pur-sukūñ jhiil meñ kankar sā girā ho jaise
dil ne bhūle se tirā naam liyā hai jab bhī
band kamre meñ koī saaz bajā ho jaise
lams pā ke vo bikharnā tirī rā'nā.ī kā
shāḳh ne saath havāoñ kā diyā ho jaise
muskurāhaT hai ki qāsid koī paiġhām liye
oT meñ band darīche kī khaḌā ho jaise
tang bistar meñ ta.ayyush kā sunahrī sapnā
zard pattoñ meñ koī phuul khilā ho jaise
sub.h-dam vo tirī añgḌā.ī kā aalam tauba
raat kā mast badan TuuT rahā ho jaise
dekh mahfil meñ dhuāñ phail gayā hai 'anjum'
maiñ ne bhūle se tirā naam liyā ho jaise
yaad guzre hue lamhon ki saza ho jaise
pur-sukun jhil mein kankar sa gira ho jaise
dil ne bhule se tera nam liya hai jab bhi
band kamre mein koi saz baja ho jaise
lams pa ke wo bikharna teri ra'nai ka
shaKH ne sath hawaon ka diya ho jaise
muskurahaT hai ki qasid koi paigham liye
oT mein band dariche ki khaDa ho jaise
tang bistar mein tayyush ka sunahri sapna
zard patton mein koi phul khila ho jaise
subh-dam wo teri angDai ka aalam tauba
raat ka mast badan TuT raha ho jaise
dekh mahfil mein dhuan phail gaya hai 'anjum'
main ne bhule se tera nam liya ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.