yaad hai ab tak mohabbat ka zamana yaad hai
yaad hai ab tak mohabbat kā zamāna yaad hai
apnī duniyā ko tire hāthoñ miTānā yaad hai
sham.a kā vaqt-e-sahar vo jhilmilānā yaad hai
aur mire pahlū se terā uTh ke jaanā yaad hai
ik qayāmat thī tirī ārā.ish-e-husn-o-jamāl
mere dil ko dām-e-gesū meñ phañsānā yaad hai
iḳhtitām-e-be-sukūñ thī ibtidā-e-āshiqī
zindagī ko lafz-e-be-ma.anī banānā yaad hai
nazroñ nazroñ meñ vo merā shikva-e-bedād-o-zulm
bātoñ bātoñ meñ vo terā ruuTh jaanā yaad hai
shām-e-furqat thī ki paiġhām-e-qayāmat thā mujhe
dil kā vo pahlū badal kar tilmilānā yaad hai
vo tirī duzdīda nazreñ vo nigāh-e-avvalīñ
vo tirā ḳhud ko dikhānā aur chhupānā yaad hai
vo tirā husn-e-tajalli al-hafīz-o-al-amāñ
merī āñkhoñ meñ mire dil meñ samānā yaad hai
husn ke naġhmāt ulfat ke tarāne gaa.e haiñ
abr-ālūda fazāoñ meñ vo gaanā yaad hai
dil ke vo paiham taqāze vo mirī majbūriyāñ
bin-bulā.e vo tirī mahfil meñ aanā yaad hai
bā.is-e-sad-faḳhr thī mujh ko kabhī qurbat tirī
imbisāt-afzā mohabbat kā fasānā yaad hai
chāñdnī rātoñ meñ vo sehn-e-chaman meñ ghūmnā
Daal kar bāñheñ gale meñ muskurānā yaad hai
kis tarah maiñ mahv kar duuñ qalb-e-afsurda kī yaad
qissa-e-dil tujh ko ro ro kar sunānā yaad hai
ab na vo ahd-e-guzishta hai na vo 'afzal' shabāb
vo bahāreñ luT ga.iiñ jin kā fasāna yaad hai
yaad hai ab tak mohabbat ka zamana yaad hai
apni duniya ko tere hathon miTana yaad hai
shama ka waqt-e-sahar wo jhilmilana yaad hai
aur mere pahlu se tera uTh ke jaana yaad hai
ek qayamat thi teri aaraish-e-husn-o-jamal
mere dil ko dam-e-gesu mein phansana yaad hai
iKHtitam-e-be-sukun thi ibtida-e-ashiqi
zindagi ko lafz-e-be-mani banana yaad hai
nazron nazron mein wo mera shikwa-e-bedad-o-zulm
baaton baaton mein wo tera ruTh jaana yaad hai
sham-e-furqat thi ki paigham-e-qayamat tha mujhe
dil ka wo pahlu badal kar tilmilana yaad hai
wo teri duzdida nazren wo nigah-e-awwalin
wo tera KHud ko dikhana aur chhupana yaad hai
wo tera husn-e-tajalli al-hafiz-o-al-aman
meri aankhon mein mere dil mein samana yaad hai
husn ke naghmat ulfat ke tarane gae hain
abr-aluda fazaon mein wo gana yaad hai
dil ke wo paiham taqaze wo meri majburiyan
bin-bulae wo teri mahfil mein aana yaad hai
bais-e-sad-faKHr thi mujh ko kabhi qurbat teri
imbisat-afza mohabbat ka fasana yaad hai
chandni raaton mein wo sehn-e-chaman mein ghumna
Dal kar banhen gale mein muskurana yaad hai
kis tarah main mahw kar dun qalb-e-afsurda ki yaad
qissa-e-dil tujh ko ro ro kar sunana yaad hai
ab na wo ahd-e-guzishta hai na wo 'afzal' shabab
wo bahaaren luT gain jin ka fasana yaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.