yaad hai ab tak mujhe ahd-e-jawani yaad hai
yaad hai ab tak mujhe ahd-e-jawani yaad hai
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi
yaad hai ab tak mujhe ahd-e-javānī yaad hai
dil ke basne aur ujaḌne kī kahānī yaad hai
yaad hai ab tak kisī kī mehrbānī yaad hai
ārizoñ par apne ashkoñ kī ravānī yaad hai
bistar-e-hirmāñ pe vo pahlū badalnā baar baar
ġham kī rātoñ meñ vo qahr-e-āsmānī yaad hai
rūThne aur ruuTh kar manñe ke har andāz kī
mehrbānī yaad hai nā-mehrbānī yaad hai
yaad hai ab tak mujhe vo ālam-e-guft-o-shunīd
rū-ba-rū-e-dost paiġhām-e-zabānī yaad hai
yaad hai ab tak tire maktūb-e-rañgīñ kī bahār
saada saada kāġhazoñ par gul-fishānī yaad hai
baar baar uThnā sar-e-mahfil nigāh-e-nāz kā
gardish-e-jām-e-sharāb-e-arġhavānī yaad hai
qurb kī ghaḌiyoñ meñ gaahe hijr ke lamhāt meñ
kāmrānī yaad hai nā-kāmrānī yaad hai
bārgāh-e-husn meñ ai 'barq' fart-e-ro.ab se
yaad hai ab tak vo apnī be-zabānī yaad hai
yaad hai ab tak mujhe ahd-e-jawani yaad hai
dil ke basne aur ujaDne ki kahani yaad hai
yaad hai ab tak kisi ki mehrbani yaad hai
aarizon par apne ashkon ki rawani yaad hai
bistar-e-hirman pe wo pahlu badalna bar bar
gham ki raaton mein wo qahr-e-asmani yaad hai
ruThne aur ruTh kar manne ke har andaz ki
mehrbani yaad hai na-mehrbani yaad hai
yaad hai ab tak mujhe wo aalam-e-guft-o-shunid
ru-ba-ru-e-dost paigham-e-zabani yaad hai
yaad hai ab tak tere maktub-e-rangin ki bahaar
sada sada kaghazon par gul-fishani yaad hai
bar bar uThna sar-e-mahfil nigah-e-naz ka
gardish-e-jam-e-sharab-e-arghawani yaad hai
qurb ki ghaDiyon mein gahe hijr ke lamhat mein
kaamrani yaad hai na-kaamrani yaad hai
bargah-e-husn mein ai 'barq' fart-e-roab se
yaad hai ab tak wo apni be-zabani yaad hai
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 58)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.