yaad hai pir-e-mughan ki chashm-e-nurani mujhe
yaad hai pīr-e-muġhāñ kī chashm-e-nūrānī mujhe
ik nazar meñ mil ga.ī aalam kī sultānī mujhe
lamha lamha luT gayā sarmāya-e-fursat mirā
kar ga.ī muflis irādoñ kī farāvānī mujhe
zaat ke hujre meñ baiThā sochtā rahtā huuñ maiñ
tā-ba-kai ābād rakkhegī ye vīrānī mujhe
faash kar duuñ ahl-e-mahfil par rumūz-e-husn-e-dost
āgahī baḳhshe agar taufīq-e-nādānī mujhe
dosh par kartā huuñ is ke ālam-e-imkāñ kī sair
jazba-e-taḳh.īl hai taḳht-e-sulaimānī mujhe
dil nahīñ ik tā.ir-e-vahshī hai siine meñ asiir
raat bhar bedār rakhtā hai ye zindānī mujhe
yaad hai pir-e-mughan ki chashm-e-nurani mujhe
ek nazar mein mil gai aalam ki sultani mujhe
lamha lamha luT gaya sarmaya-e-fursat mera
kar gai muflis iradon ki farawani mujhe
zat ke hujre mein baiTha sochta rahta hun main
ta-ba-kai aabaad rakkhegi ye virani mujhe
fash kar dun ahl-e-mahfil par rumuz-e-husn-e-dost
aagahi baKHshe agar taufiq-e-nadani mujhe
dosh par karta hun is ke aalam-e-imkan ki sair
jazba-e-taḳhil hai taKHt-e-sulaimani mujhe
dil nahin ek tair-e-wahshi hai sine mein asir
raat bhar bedar rakhta hai ye zindani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.