yaad haq ki hai zamane se faramoshi hai
yaad haq ki hai zamane se faramoshi hai
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
yaad haq kī hai zamāne se farāmoshī hai
hosh kā hosh hai be-hoshī kī be-hoshī hai
hosh meñ huuñ na mujhe daura-e-be-hoshī hai
ek hālat hai ki hālat se farāmoshī hai
kaun kahtā hai mirā ālam-e-be-hoshī hai
hosh kāmil hai mujhe is liye ḳhāmoshī hai
shaad huuñ aaj mirī rasm-e-kafan-poshī hai
aaj duniyā ke jhameloñ se subukdoshī hai
vāqif-e-rāz-e-haqīqat mirī be-hoshī hai
ālam-e-hosh mirā ālam-e-be-hoshī hai
dard-e-dil tū ne musībat meñ sadā saath diyā
bhuul jaanā tujhe ehsān-farāmoshī hai
jo haiñ āzād vo gulshan meñ bahāreñ lūTeñ
merī qismat meñ qafas se hī ham-āġhoshī hai
lab pe kyoñ aa.e kabhī terī jafāoñ kā gila
hāsil-e-ishq mirā tarz-e-vafā-koshī hai
dekh hī leñge tujhe dekhne vaale tere
kis liye parda hai kis baat pe rūposhī hai
jab mujhe hosh na thā hosh kī tākīdeñ thiiñ
hosh meñ huuñ to mujhe dāvat-e-be-hoshī hai
hosh vaalā ye samajh jaa.e to hosh aa jaa.e
markaz-e-dā.era-e-hosh hī be-hoshī hai
hosh vaale ye haqīqat tujhe ma.alūm nahīñ
hosh kī had se idhar ālam-e-be-hoshī hai
dil merā rāh-e-tarīqat meñ vahīñ baiTh gayā
jab ye samjhā ki tamanna bhī ġhalat-koshī hai
miT ga.iiñ dil se tamannā.eñ ye achchhā hī huā
ab mujhe yās-o-musībat se subukdoshī hai
ka.aba-o-dair ke jhagḌe to abas haiñ 'sūfī'
ḳhāna-e-dil ke sivā har jagah rū-poshī hai
yaad haq ki hai zamane se faramoshi hai
hosh ka hosh hai be-hoshi ki be-hoshi hai
hosh mein hun na mujhe daura-e-be-hoshi hai
ek haalat hai ki haalat se faramoshi hai
kaun kahta hai mera aalam-e-be-hoshi hai
hosh kaamil hai mujhe is liye KHamoshi hai
shad hun aaj meri rasm-e-kafan-poshi hai
aaj duniya ke jhamelon se subukdoshi hai
waqif-e-raaz-e-haqiqat meri be-hoshi hai
aalam-e-hosh mera aalam-e-be-hoshi hai
dard-e-dil tu ne musibat mein sada sath diya
bhul jaana tujhe ehsan-faramoshi hai
jo hain aazad wo gulshan mein bahaaren luTen
meri qismat mein qafas se hi ham-aghoshi hai
lab pe kyon aae kabhi teri jafaon ka gila
hasil-e-ishq mera tarz-e-wafa-koshi hai
dekh hi lenge tujhe dekhne wale tere
kis liye parda hai kis baat pe ruposhi hai
jab mujhe hosh na tha hosh ki takiden thin
hosh mein hun to mujhe dawat-e-be-hoshi hai
hosh wala ye samajh jae to hosh aa jae
markaz-e-daera-e-hosh hi be-hoshi hai
hosh wale ye haqiqat tujhe malum nahin
hosh ki had se idhar aalam-e-be-hoshi hai
dil mera rah-e-tariqat mein wahin baiTh gaya
jab ye samjha ki tamanna bhi ghalat-koshi hai
miT gain dil se tamannaen ye achchha hi hua
ab mujhe yas-o-musibat se subukdoshi hai
kaba-o-dair ke jhagDe to abas hain 'sufi'
KHana-e-dil ke siwa har jagah ru-poshi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.