yaad jab guzri hui sham ka manzar aaya
yaad jab guzrī huī shaam kā manzar aayā
lauT kar taara sā ik dil ke ufuq par aayā
ātish-e-gul ko to shabnam hī samajh saktī hai
tū gayā aur faqat sair-e-chaman kar aayā
khiñch ga.ī zehn meñ ik vahm-o-yaqīñ kī tasvīr
haath meñ jab kisī fankār ke patthar aayā
ruḳh pe ik phuul khilā aañkh meñ motī chamkā
naam jab merā kabhī un ke laboñ par aayā
chal gayā mahfil-e-ḳhūbāñ meñ ġhazal kā jaadū
tere lahje kā jab andāz mayassar aayā
rind sab bhuul ga.e tishna-labī kā shikva
chashm-e-sāqī jo uThī daur meñ sāġhar aayā
merā ġham koī bhī duniyā meñ na samjhā 'rif.at'
gumrahī kā magar ilzām mire sar aayā
yaad jab guzri hui sham ka manzar aaya
lauT kar tara sa ek dil ke ufuq par aaya
aatish-e-gul ko to shabnam hi samajh sakti hai
tu gaya aur faqat sair-e-chaman kar aaya
khinch gai zehn mein ek wahm-o-yaqin ki taswir
hath mein jab kisi fankar ke patthar aaya
ruKH pe ek phul khila aankh mein moti chamka
nam jab mera kabhi un ke labon par aaya
chal gaya mahfil-e-KHuban mein ghazal ka jadu
tere lahje ka jab andaz mayassar aaya
rind sab bhul gae tishna-labi ka shikwa
chashm-e-saqi jo uThi daur mein saghar aaya
mera gham koi bhi duniya mein na samjha 'rifat'
gumrahi ka magar ilzam mere sar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.