yaad jo tujhko kar rahe hain hum
yaad jo tujh ko kar rahe haiñ ham
kyā haqīqat meñ mar rahe haiñ ham
terī furqat meñ vaqt kī sūrat
rafta rafta guzar rahe haiñ ham
kal mirī ruuh ne kahā mujh se
jism se kah do mar rahe haiñ ham
aaj tere ruḳh-e-munavvar se
nuur āñkhoñ meñ bhar rahe haiñ ham
jaise jaise vo tanz karte haiñ
vaise vaise nikhar rahe haiñ ham
yaad us kī na aa.e kyuuñ 'maz.har'
muddatoñ ham-safar rahe haiñ ham
yaad jo tujh ko kar rahe hain hum
kya haqiqat mein mar rahe hain hum
teri furqat mein waqt ki surat
rafta rafta guzar rahe hain hum
kal meri ruh ne kaha mujh se
jism se kah do mar rahe hain hum
aaj tere ruKH-e-munawwar se
nur aankhon mein bhar rahe hain hum
jaise jaise wo tanz karte hain
waise waise nikhar rahe hain hum
yaad us ki na aae kyun 'mazhar'
muddaton ham-safar rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.