yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan
yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
yaad kar vo husn-e-sabz aur añkhḌiyāñ matvāliyāñ
kāTte haiñ ro hī ro sāvan kī rāteñ kāliyāñ
shab tasavvur bāñdh kar us jumbish-e-mizhgāñ kā vaah
ḳhud-baḳhud kis kis maze se ham ne chhaḌiyāñ khā liyāñ
dekheñ kyā un kī lachak us sā.ad-e-nāzuk baġhair
khīñchtī haiñ kyuuñ hameñ kāñToñ meñ gul kī Dāliyāñ
kuchh na kuchh kar baiThtā huuñ baat us ke bar-ḳhilāf
tā kisī sūrat vo de jhuñjhlā ke mujh ko gāliyāñ
mah asīr-e-hāla us kā dekh baalā kyuuñ na ho
ḳhanda-zan hoñ mahr par jis kī jaḌāv-bāliyāñ
shab ko jo us kā tasavvur bañdh gayā to ham ne bas
us ke mukhḌe kī balā.eñ sub.h tak kyā kyā liyāñ
vaqt-e-iz.hār-e-vafā mahfil meñ us kī jis se aañkh
mil ga.ī to bas vo sab bāteñ usī par Dhāliyāñ
barg-e-gul un ko kahūñ yā pāra-e-yāqūt vaah
dekhiyo bin paan khaa.e un laboñ kī lāliyāñ
kūcha-e-qātil ko gar musalaḳh kahūñ to hai bajā
jab na tab dekho to bahtī haiñ lahū kī nāliyāñ
ḳhūn-e-dil āñkhoñ meñ bhar aatā hai jab aatī hai yaad
vo mai-e-gul-rañg kī bhar bhar ke denī pyāliyāñ
tāk-jhāñk us kī kahūñ kyā maiñ ki tiflī meñ bhī thiiñ
us ke hāthoñ ghar kī dīvāroñ meñ har sū jāliyāñ
kaash 'jur.at' vasl kā din hove jaldī se nasīb
hijr kī to khaa.e jaatī haiñ ye rāteñ kāliyāñ
yaad kar wo husn-e-sabz aur ankhDiyan matwaliyan
kaTte hain ro hi ro sawan ki raaten kaliyan
shab tasawwur bandh kar us jumbish-e-mizhgan ka wah
KHud-baKHud kis kis maze se hum ne chhaDiyan kha liyan
dekhen kya un ki lachak us saad-e-nazuk baghair
khinchti hain kyun hamein kanTon mein gul ki Daliyan
kuchh na kuchh kar baiThta hun baat us ke bar-KHilaf
ta kisi surat wo de jhunjhla ke mujh ko galiyan
mah asir-e-haala us ka dekh baala kyun na ho
KHanda-zan hon mahr par jis ki jaDaw-baaliyan
shab ko jo us ka tasawwur bandh gaya to hum ne bas
us ke mukhDe ki balaen subh tak kya kya liyan
waqt-e-izhaar-e-wafa mahfil mein us ki jis se aankh
mil gai to bas wo sab baaten usi par Dhaaliyan
barg-e-gul un ko kahun ya para-e-yaqut wah
dekhiyo bin pan khae un labon ki laliyan
kucha-e-qatil ko gar musalaKH kahun to hai baja
jab na tab dekho to bahti hain lahu ki naliyan
KHun-e-dil aankhon mein bhar aata hai jab aati hai yaad
wo mai-e-gul-rang ki bhar bhar ke deni pyaliyan
tak-jhank us ki kahun kya main ki tifli mein bhi thin
us ke hathon ghar ki diwaron mein har su jaliyan
kash 'jurat' wasl ka din howe jaldi se nasib
hijr ki to khae jati hain ye raaten kaliyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.