yaad karte hain kabhi dil se bhula dete hain
yaad karte haiñ kabhī dil se bhulā dete haiñ
ham ko kis jurm kī āḳhir vo sazā dete haiñ
ham vo saa.il haiñ jo har dar pe sadā dete haiñ
pyaar kī bhiik do ik haañk lagā dete haiñ
'aish-o-'ishrat meñ shab-o-roz tumhāre guzreñ
jiine vaalo ye tumheñ dil se du'ā dete haiñ
terī duzdīda-nigāhī ye tabassum tere
sard jazbāt meñ ik aag lagā dete haiñ
kaun rakh saktā hai guzre hue lamhoñ kā hisāb
apne maazī ko sabhī log bhulā dete haiñ
yaad karte hain kabhi dil se bhula dete hain
hum ko kis jurm ki aaKHir wo saza dete hain
hum wo sail hain jo har dar pe sada dete hain
pyar ki bhik do ek hank laga dete hain
'aish-o-'ishrat mein shab-o-roz tumhaare guzren
jine walo ye tumhein dil se du'a dete hain
teri duzdida-nigahi ye tabassum tere
sard jazbaat mein ek aag laga dete hain
kaun rakh sakta hai guzre hue lamhon ka hisab
apne mazi ko sabhi log bhula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.