yaad mahki jo unki saba ki tarah
yaad mahkī jo un kī sabā kī tarah
ġhuncha-e-zaḳhm chaTke du’ā kī tarah
mere hamrāh hai yak ġham-e-do-jahāñ
maiñ azal se huuñ tanhā ḳhudā kī tarah
vaqt kī chilchilātī huī dhuup meñ
zindagī jal rahī hai chitā kī tarah
merī hastī kā mafhūm kuchh bhī nahīñ
dahr meñ maiñ huuñ harf-e-vafā kī tarah
vaqt kā tez-rau qāfila chal diyā
maiñ paḌā rah gayā naqsh-e-pā kī tarah
yaad mahki jo un ki saba ki tarah
ghuncha-e-zaKHm chaTke du’a ki tarah
mere hamrah hai yak gham-e-do-jahan
main azal se hun tanha KHuda ki tarah
waqt ki chilchilati hui dhup mein
zindagi jal rahi hai chita ki tarah
meri hasti ka mafhum kuchh bhi nahin
dahr mein main hun harf-e-wafa ki tarah
waqt ka tez-rau qafila chal diya
main paDa rah gaya naqsh-e-pa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.