yaad mausam wo purane aae
Interesting Fact
(Paikar, Hyderabad)
yaad mausam vo purāne aa.e
zaḳhm hañsne ke zamāne aa.e
dil kī dahlīz pe yādoñ ke sivā
kaun āvāz lagāne aa.e
ab kahāñ taab lahū rone kī
ab na vo ḳhvāb dikhāne aa.e
log jiite haiñ lahū pī ke yahāñ
ham kahāñ pyaas bujhāne aa.e
kah ga.e baat jo sach thī varna
yaad kitne hī bahāne aa.e
har ġhazal meñ hai chhupā vo chehra
koī ghūñghaT to uThāne aa.e
shāḳh phūloñ se jhukī jaatī hai
koī to haath baḌhāne aa.e
sub.h jab ho to 'qamar' misl-e-sabā
phuul rakhne vo sirhāne aa.e
yaad mausam wo purane aae
zaKHm hansne ke zamane aae
dil ki dahliz pe yaadon ke siwa
kaun aawaz lagane aae
ab kahan tab lahu rone ki
ab na wo KHwab dikhane aae
log jite hain lahu pi ke yahan
hum kahan pyas bujhane aae
kah gae baat jo sach thi warna
yaad kitne hi bahane aae
har ghazal mein hai chhupa wo chehra
koi ghunghaT to uThane aae
shaKH phulon se jhuki jati hai
koi to hath baDhane aae
subh jab ho to 'qamar' misl-e-saba
phul rakhne wo sirhane aae
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 91)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.