yaad mein unki meri aankh se barsat hui
yaad meñ un kī mirī aañkh se barsāt huī
ek hī lamhe meñ do baar ye sauġhāt huī
'ishq zāhir karūñ maiñ us se to kis tarh karūñ
bas yahī soch ke sharminda mirī zaat huī
din to yāroñ meñ guzar hī gayā jaise taise
dard kuchh aur baḌhā hijr meñ jab raat huī
shab sunahrī huī ġham mere ḳhushī meñ badle
husn-e-jānāñ se mirī jab bhī mulāqāt huī
donoñ ik tark-e-ta'alluq kī sazā ye paa.e
us kī Dolī na uThī merī na bārāt huī
phuuT kar rone lagā dekh ke vo merī taraf
āḳhirī vaqt meñ jab us se mirī baat huī
jazba-e-'ishq ne 'minhāj' yuuñ dam toḌ diyā
zehn ko jiit huī dil ko magar maat huī
yaad mein un ki meri aankh se barsat hui
ek hi lamhe mein do bar ye saughat hui
'ishq zahir karun main us se to kis tarh karun
bas yahi soch ke sharminda meri zat hui
din to yaron mein guzar hi gaya jaise taise
dard kuchh aur baDha hijr mein jab raat hui
shab sunahri hui gham mere KHushi mein badle
husn-e-jaanan se meri jab bhi mulaqat hui
donon ek tark-e-ta'alluq ki saza ye pae
us ki Doli na uThi meri na baraat hui
phuT kar rone laga dekh ke wo meri taraf
aaKHiri waqt mein jab us se meri baat hui
jazba-e-'ishq ne 'minhaj' yun dam toD diya
zehn ko jit hui dil ko magar mat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.