yaad nahin hai kab utre the KHauf-e-samundar mein
yaad nahīñ hai kab utre the ḳhauf-e-samundar meñ
lekin sadiyoñ se haiñ Dere ḳhauf-e-samundar meñ
an-jānī tāqat ke jitne ruup haiñ duniyā meñ
ham se saare milne aa.e ḳhauf-e-samundar meñ
zard rutoñ ke phuul khile haiñ har ik chehre par
saare chehre ek se chehre ḳhauf-e-samundar meñ
mustaqbil kī soch meñ gum haiñ najm-o-mahr-o-māh
har ik shai hī Duubī jaa.e ḳhauf-e-samundar meñ
galī galī mahrūmī nāche kūcha kūcha dard
shahr-e-shafīq ābād haiñ kitne ḳhauf-e-samundar meñ
yaad nahin hai kab utre the KHauf-e-samundar mein
lekin sadiyon se hain Dere KHauf-e-samundar mein
an-jaani taqat ke jitne rup hain duniya mein
hum se sare milne aae KHauf-e-samundar mein
zard ruton ke phul khile hain har ek chehre par
sare chehre ek se chehre KHauf-e-samundar mein
mustaqbil ki soch mein gum hain najm-o-mahr-o-mah
har ek shai hi Dubi jae KHauf-e-samundar mein
gali gali mahrumi nache kucha kucha dard
shahr-e-shafiq aabaad hain kitne KHauf-e-samundar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.