yaad ne teri kuchh itna kar diya kahil mujhe
yaad ne terī kuchh itnā kar diyā kāhil mujhe
kār-e-duniyā se sabhī kahne lage ġhāfil mujhe
ye haqīqat kā jahāñ to raas ab aatā nahīñ
aa kabhī tū paas aa ḳhvāboñ meñ aa ke mil mujhe
log kahte the kabhī tū bevafā ho jā.egā
yaad aatā hai tirī āñkhoñ meñ kaalā til mujhe
ek tere ism ko kāġhaz pe maiñ likhtī rahūñ
phir bhale saarā jahāñ kahtā rahe jāhil mujhe
har ḳhushī har ġham meñ tere merā bhī to hissa hai
vasl meñ jab saath haiñ kar hijr meñ shāmil mujhe
kaun jaane kaun hai mā'shūq 'āshiq kaun hai
aap ko maiñ ne banāyā aap ne bismil mujhe
yaad ne teri kuchh itna kar diya kahil mujhe
kar-e-duniya se sabhi kahne lage ghafil mujhe
ye haqiqat ka jahan to ras ab aata nahin
aa kabhi tu pas aa KHwabon mein aa ke mil mujhe
log kahte the kabhi tu bewafa ho jaega
yaad aata hai teri aankhon mein kala til mujhe
ek tere ism ko kaghaz pe main likhti rahun
phir bhale sara jahan kahta rahe jahil mujhe
har KHushi har gham mein tere mera bhi to hissa hai
wasl mein jab sath hain kar hijr mein shamil mujhe
kaun jaane kaun hai ma'shuq 'ashiq kaun hai
aap ko main ne banaya aap ne bismil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.