yaad paDta to nahin kab mera dekha hua hai
yaad paḌtā to nahīñ kab mirā dekhā huā hai
aisā lagtā hai ki ye sab mirā dekhā huā hai
aur us but kī parastish meñ nayā kuchh bhī nahīñ
aur kyuuñ dekhūñ use jab mirā dekhā huā hai
maut kuchh mere liye laa.e to laa.e shāyad
zindagī kā to sabhī Dhab mirā dekhā huā hai
is dafa ishq ke jañgal se nikal ā.ūñgā
raah kā saarā fusūñ ab mirā dekhā huā hai
kis tarah husn ko lafzoñ meñ muqaffal kar duuñ
kis tarah kah duuñ mirā rab mirā dekhā huā hai
yaad paDta to nahin kab mera dekha hua hai
aisa lagta hai ki ye sab mera dekha hua hai
aur us but ki parastish mein naya kuchh bhi nahin
aur kyun dekhun use jab mera dekha hua hai
maut kuchh mere liye lae to lae shayad
zindagi ka to sabhi Dhab mera dekha hua hai
is dafa ishq ke jangal se nikal aaunga
rah ka sara fusun ab mera dekha hua hai
kis tarah husn ko lafzon mein muqaffal kar dun
kis tarah kah dun mera rab mera dekha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.