yaad par ungliyan uThati hun
yaad par uñgliyāñ uThātī huuñ
ḳhvāb par tohmateñ lagātī huuñ
kyā kahā dasht kā irāda hai
to chalo saath maiñ bhī aatī huuñ
vo jo mujh se kabhī milā hī nahīñ
maiñ use raat din satātī huuñ
us ko rakkhā hai fikr se āzād
ḳhud pe pābandiyāñ lagātī huuñ
nā kahīñ ḳhvāb jaan jaa.eñ mirā
phuul se titliyāñ uḌātī huuñ
dar kā dastak ke saath rishta hai
is liye roz khaTkhaTātī huuñ
maiñ tirā ḳhvāb dekhne ke liye
niiñd kī raushnī banātī huuñ
aañkh ko ḳhushk kar liyā maiñ ne
ḳhvāb sailāb meñ bahātī huuñ
yaad par ungliyan uThati hun
KHwab par tohmaten lagati hun
kya kaha dasht ka irada hai
to chalo sath main bhi aati hun
wo jo mujh se kabhi mila hi nahin
main use raat din satati hun
us ko rakkha hai fikr se aazad
KHud pe pabandiyan lagati hun
na kahin KHwab jaan jaen mera
phul se titliyan uDati hun
dar ka dastak ke sath rishta hai
is liye roz khaTkhaTati hun
main tera KHwab dekhne ke liye
nind ki raushni banati hun
aankh ko KHushk kar liya main ne
KHwab sailab mein bahati hun
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.